Kaise bhula dun main teri yaad,
Ab to mumkin nahi bhulana teri yaad.
Kabhi the ham divana tere naam ke,
Aaj teri chahat ne kiya hame barbad….
Dhoondh kar hum thak chuke,
Kaun si galiyon me jane tum kho gaye.
Ab aur kahan thikana hai is gareeb ka,
Jaakar kabr me khud hi hum so gaye.
Bhul jana yaron itna aasan nahi hota,
Zakhmon ke nishan mitana aasan nahi hota.
Mana ho jisne yaar ko khuda,
Unko chhor jana asaan nahi hota…
Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay
Hum tujh ko yuon sar-e-aam ruswa na karen gay
Kiyon hum peh uthaeen sang-e-malamat ki fasilein
Behtar hai tere shehar mein hum aaya na karen gay
Yeh chaand yeh taary yeh haseen raat ka aalam
Munsoob tere naam se kya kya na karen gay
Wiraan hoey qasr-e-tamana ke dareechy
Aabaad kabhi pyar ki ab duniya na karen gay
Har cheez ki bohtaat mein nuqsaan bohat hai
Shiddat se kisi shakhs ko chaha na karen gay…
Aisi bewafaai ki ussne ,
mohabbat bhi badnaam ho gayi….
apni mohabbat ki itni kimat vasool ki usne,
ke hamari arthi bhi nilaam ho gayi…
Dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoo’n mai,
phir kabhi na simtunga you’n bikhar gaya hoo’n mai…
Maut bas nahee’n aati rooh k nikalne se,
sans mujh mai baqi hai phir bhi marr gaya hoo’n mai…
Sapna Kabhi Sakar Nahi Hota
Mohabbat Ka Koi Aakar Nahi Hota
Sub Kuch Hojata Hai Is Dunya Mein Magar
Dubara Kisi Se Sacha Pyaar Nahi Hota…

No comments:
Post a Comment